Saturday 13 August 2011

Placement ka Panchnama


Placement   ka panchnama
    Dekhte dekhte college ke teen sal nikal gaye.Final year me aate hi placements ki hawaye bahane lagi.August me bhale hi barish na ho lekin aate hi companies ki barsat hone lagi. Yaha hum karane wale hai placement ka postmortem.
          Placement me sabse pahle hota hai apti clear karne ka sankat jo ki padhai karne se shayad hi dur ho sakta hai.R.S. ki geeta ka path karna jaruri hai aur hamne pichle teen salo me kuch sikha hai kya? iska bhi aatmparikshan karna jaruri hai .Aur sabse mahatwapurn cheej,pariksha ke samay toppers ke pankti me bethiye.Apti me copy na kare,chori kare wo bhi badiwali(apti paper ki,coursey:VKP) .Inhi neeti-mulyo par aap chale tabhi apti ka sankat chur hoga.
          Apti ke bad aata hai,sabse khatarnak aur khoonkhar  technical PI.Yaha hamare gyan ka postmortem hota hai.Ye sankat dur karne ke liye aap din me roj paanch bar LET US C aur do bar K&R ka jap karana jaruri hai.Aur to aur aapke purane maha-granth ke bhi path kijiye. Aapke mansik (aur shari-rik) santulan banaye rakhiye.Yad rakhiye aapki shari-rik paribhasha hi aapke man ka pratibimb hoti hai(wah !wah!).OS aur OS(other subjects) ka path karna aavashk hai.OS(Operating system) bahut mahatwapurna hai,aage se dhyan rakhiye ki OS ka gala  ‘ghotkar’  koi ja na paye.Packege kum hai; kah kar phookat ka maj na kare.Angreji ka adhiktum ucchar kare.DDK aur VKP ko dosh na de,ve nirdosh hai. ‘who is done that?’ aur ‘all those things’ in shabdo ka ucchar na kare.
Aur aaj, is baat ka bhi yakeen(?^n) ho gaya, ki humari practical ki tarah humari placement mein bhi end mein sab theek ho jaata hai.
Happys Endings. Aur agar, aur agar theek na ho to woh the end nahin hai dosto, placement abhi baaki hai mere dost…..





         
         

No comments:

Post a Comment