Friday 15 April 2011

Coep ke Unsung Heroes!!!


          Coep ke Unsung Heroes!!!

Ye hamare 6 we semester ka aakhiri hafta tha.Har semester ka aakhiri hafta yani seminars,project,assignments aur tests se bhara pada rahata hai.Ye hafta bhi aisa hi tha.Jaise kisi bhuke ke muh me mess ka khana thoos do ,usi tarah se is hafte me sare submissions thoos diye the.
        Is hafte me hamare maharathi chuttiya manane gaye the.D2K aur VK2 pata nahi kaha sath sath ghumane chale gaye.Hari ke bhakt apne kiye huwe papo ko dhone ke liye uttar ki yatra par chal pade the.Aur jane-‘mane’ hastiya pata nahi kyu apna muh chupa rahe the.Inhi sab karano se COEP-IT ki sari satta Sorry Potter aur Chamkile ratno ke hath aa gayi.Jo ki hamare unsung heroes sabit huwe.
        Suru huwa tha,sabse pyara ,sabka dulara LP(late processing) se.Pahele to LP ka submission hota tha tab bacche apni jan hatheli par rakh kar ghuma kiya karte the.Lekin jabse baccho ko pata chala ki hari ke bhaktonko apne papo ka prayaschit ho gaya hai to wahi hatheli wali jan ki gend bana kar hawa me uchhal rahe hai. Aap ne to suna hi hoga ,’khadaksingh ke khadak ne se khadak ti hai khidakiya,khidki-oke ke khadak ne se khadakta hai khadaksingh’.Ji ha wo jo jiska nam nahi lete aa chukka hai,khadaksingh…..Khadaksingh ke khadak ne se jo khidkiya khadak ti hai wo hai COMP ki khidkiya aur jin khidki-oke khadak ne se khadaksingh khadak ta hai wo hai IT ki khidkiya.Bad me aaya NAWP,kuch heroes ne apna standard badhane ke liye,panne phadake uska notes banana ke liye istamal kiya aur pach-pach kagaj ke ghar banaye.Payre padosi D2K aur VK2 future planning ke liye baccho ko punish karke vanish ho gaye.VK2 ke dar ki wajah se kisine video me se photo hi nikala nahi.
        Lekin jo bhi tha accha tha.Tisra sal bhi khatam huwa.End-sem ka jwala-mukhi abhi phatane hi wala hai.To is jwalamukhi se bachne ke tarike dhoondo aur bach sako to bacho.Agar bache to bache,nahi to summer me zulasne ke liye taiyar ho jao..Lekin hum wo hai jo patthar ko bhi pighla dete hai aur acche accho ko ghuma dete hai aur hum ladne(mrne) ke liye taiyar hai.Agar bach gaye to ALVIDA TY aur sabko ladne ke liye shubh-kamanaye.

DUNIYA KA NARA JAME RAHO!!

Friday 8 April 2011

Seminar Hall Ki Aatmakatha

Seminar hall ki aatmakatha!

Ji mera nam seminar hall hai.Mera janm 2003 me entc extension me huwa.Jab aap entc extension ki sidiya chadenge tab aapko mera darshan milta hai.bhale hi maine entc ka namak khaya ho,lekin mere thali me to sirf IT-COMP wali hi khate hai.
        Mere janm ke bad yaha dher sare lectures huye.Bahot se IT ke maharathi yaha padhke aur padhake gaye.Waise me akela nahi,mere baju me hi ek-do cabines hai,aur aap ‘mane’ ya na mano us kebin se mujhe facebook aur orkut ki roshani dikhai deti hai.Meri najar har wakt baccho pe aur hamare gurujano pe lagi rahati hai.Bacche bade hi shaitan hote hai.Koi so raha hai,koi gana ga raha hai ,koi ‘pyar’ bhari kavitaye mere pyare banches par likh raha hai to koi photo khich raha hai.Aur ha mere pass ek khas cheej bhi hai,mera garam dimakh dost mera pyara projector.Ise sirf teen cheeje acchi lagti hai,sona,sona aur sona.agar kisi ne ise jaga diya to iska jwalamukhi phat jata hai.Isi wajah se kuch baccho ko apne karmo ka phal bhugatana padata hai,matlab udhak-baithak lagani padati hai,aur wo bhi bench ke uppar. Aur halhi mai ek naya shant projector aaya hai,jiske karan baccho ka jwalamukhi phat raha hai.
        Bhagwan ne logo ko rahne ke liye dharati ka nirman kiya,lekin bhagwan ne notice kiya ki IT-COMP ke bacche na gharke hai na ghatke,isi karan bhagwan ne mera nirman kiya.2011 ke photo ghotake ke bad meri suraksha aur bhi kadi kar di gayi hai.Har samay ,khas kar jis wakt wo hadsa huwa tha usi wakt mere aaju-baju guards mandarane lagate hai.Ek mere hi karan bacche T1 aur T2 ko acchi padhai karke aate hai.Jate jate bas yahi kahana chahta hu ki mai yu hi sada IT-COMP ke sath rahunga kyonki mujhe COEP pe bharosa hai aur ha I want AC and new colour for my body.. Chalo tab tak ke liye aap se vida leta hu aur apne projector se milke aata hu.

Sunday 3 April 2011

VaibhavShali Deepak part-2


WARNING
This matter is highly confedential , allowed only for I.T. students, agar ye leak ho gaye to phir aur ek meeting hogi.
Part  2
 Dedicated to D2K And VK2
Pichle episode me hamane dekha D2K aur VK2 ka bachpan.Ab shuru hoti hai D2K aur VK2 ki dosti ki dastan.Ab in dono ka coep me aagman hota hai.
In dono ke bich kuch hi dino me gahari dosti ho gayi.Ye dosti  karke inhone varnabhed ka kada nishedh kiya hai.Ye dono ek-dusre ke sukh-dukh ke bhagidar hai.Lekin in dono ke swabhav bilkul alag hai.D2K ko Africa se lagav hai,to VK2 ko America se,D2K ko photo-session karwane ka shauk hai to VK2 ko photosession se nafrat,D2K ko PPT’s bahot pasand hai to VK2 ko PPT kya hoti hai yaha pata nahi.D2K dusro ko samay ke bad aane nahi dete to VK2 apne aap ko samay se pahle aane nahi dete.Lekin phir bhi ye dono acche dost hai.
          Inke gyan batne ke tarike bhi alag alag hai.D2K har sal Google ki 3rd PPT ka gyan baacho me phekta hai,kuch hi log is gyan lo lapak pate hai.Aur waha VK2 IEEE ka gyan hame samarpit karte hai.D2K aadhe semister me pura syllabus kha jate hai aur dakar bhi nahi dete,to VK2 pure semister me aadha syllabus khane aur khilane ki koshish karte hai lekin kha aur khila nahi pate to dakar dene ka sawal hi paida nahi hota.
          March ’11 ek (dur)ghatna ghati,’NO ONE CLICKED VK2’.Hamesha ki tarah VK2 ka santulan bighda.Phir ek High profile(?) meeting hui,jisme ye tay kiya gaya ki jin baccho ki attendance ‘83%’ ke oops maf kijiye,75% ke niche hai unhe default kar diya jaye,ye tha hamare badi maa ka phaisla.
          In dono ko BC jana bahot accha lagta hai aur bc ki maggy khana,isliye ye log pracs ko vinamrata se vilamb karte hai.Lo aaj bhi D2K hamesha ki tarah paise bhul gaya,aur hamesha ki tarah VK2 ki jeb dhili hui.Ek din dono maggy khane BC par gaye.D2K ne Pahachan liya ki VK2 ke chehare ka rang uda-uda sa hai.D2K ne narajika karan pucha to VK2 ne apni sari dastan bayan kar di.D2K ko gussa aaya ,aur gusse se pucha who is done that?Aur phir agle lecture me padhai jane wali 10 PPT’s ko D2K ne shift+delete mara aur uski jagah apna speech dala(popularly known as The King’s speech),aur apne pyare baccho ko bade pyar se samjhaya.D2K ka ye karj chukane ke liye VK2 ne D2K ki wo 10 PPT’s padhai.Inki dosti ne hamare college me ek nayi missal kayam ki hai.inke dosti ko hamara koti-koti pranam.
          Jay D2k,Jay VK2,Jay hind!!

Friday 1 April 2011

Rok Sake To Rok LO


Rok sako to rok lo
Bharat me sirf teen cheeje chalti hai,ek rajniti,dusri sinema aur tisri cricket.In dino cricket ka nasha sir chadh ke bol raha hai.Har dishame cricket ki gunj sunai  deti hai.Sau karod logo ki dhadkanose ek hi aawaj sunai deti hai,INDIA….
          Sun 1983,purv wijeta west-indies ko harana namumkin hai,aisa kuch sameekshak bak rahe the,WI to india ko kaccha kha jayega ,yaha india ki dal nahi galne wali aise log anuman laga rahe the.Mukableka Din aaya.Bharat ko WC me WI ko hara kar vishw-wijeta ban ne ka accha mouka mila tha.Lekin lakshya itna aasan nahi tha,samne thi saktishali WI,jo Apne samne aane wali har team ko kuchal dalti thi.Lekin bharat bhi apne pure hosh me tha,is team ko dhul chatani hai to hame apna sarvottam khel dikhana padega,is bat se bharat wakif tha.Aur bharat apne behatarin sanghik khel ke bal par purv-wijeta WI ko dhul chatakar vishwa-wijeta bana.
          Sun 2011,Ek bar phir Bharat WC ke antim padav me pahucha.Aajki team 83 ke team ke sath kaphi milti julti hai.Bharat ke samne kai badi badi chunoutiya thi.Purv-Wijeta Australia 5 ve bar WC Ghar le jana chahte the.Dhoni-Briged bhi taiyar thi.Bharat ek bahut hi santulit team ki tarah khel rahi thi.
          Apne-Apne league matches jit kar bharat antim 8 me pahuchi.QF me bharat ka mukabala tha purv-wijeta Australia se.Jo team pichle teen world-cup me ek bhi match nahi hari thi,usi team ko mat dena aasan nahi tha.Bharat ka lakshya ek hi tha Australia ko apne raste se hatana.Ye mukabala tha duniya ki sabse tej gendbaji karne wali Australia ka duniya ki sabse tagdi ballebaji rakhne wali bharat se.Lekin is mukabale me bharat ne bade aasani se apne bade sujh-bujh wale khel se Australia ko 5 ve bar WC jitne se rokha.Aur bade shan se Bharat ne Antim 4 me jagah banai.Phir Bharat ka mukabala tha Pakistan se.Pakistan ke aage kisi bhi team ki dal nahi gal rahi thi.Agar hame aage badhana tha to is bade pahad ko raste se hatana tha.Waha Pakistan WC me hare pure 4 mukabaloka badla lena chahta tha.Phir shuru hui ghanghor ladai.Mukabala dhekhne sinema,rajneeti(bachi hui 2 cheeje)se bade bade log aaye the.Ghanghor ladai jari thi.Koi bhi team picche hatane ko taiyar nahi thi.Lekin apne behatarin khel ke bal par Bharat ne is Pakistan rupi pahad ko chirkar antim 2 me jagah banai.
Mumbai hai wo jagah jaha Bharat vishwa-wijeta banane ke liye khelega. Ab Bharat vishwa-wijeta banana se ek kadam dur hai  .Lekin rasta aasan nahi hai.Jis tarah Kapil ke jawano ne puri jan laga kar WI ko dhul chatai thi usi tarah Dhoni briged ko ji jan se khelna hoga.Antim Mukabale me Bharat ko bhidna hai Srilanka se.Srilanka,ek badi si santulit team,jo apne ballebaji,genbaji se virodhi team ka jitna mushkil kar deti hai.Srilanka ko halke me lena bharat ko bhari pad sakta hai.Lekin Bharat Srilanka ko halke me lene ki galati nahi karega.Dhoni apne team ka santulan banaye huye hai.Sachin apni aakhri wordcup match jaha we bachpan se khelte aaya hai usi stadium pe khelne wale hai.Shatko ka shatak karne ke liye isase acchi jagah nahi.Team India koi bhi galti karna nahi chahegi.21 ve sadime ramayan doharane wala hai.Ram aur Ravan ki jang chhidane wali hai.
          Bharat ko ab vishwa-champion banase koi nahi rok sakta.Lanka rok sako to rok lo.Ab sau karod logo ki dhadkan India ke jit ke liye dhadak rahi hai.chaliye apne super-heroes ko sahayog kare.COMMON INDIA……….BLEED BLUE……